Online Train Ticket Kaise Book Kare

Train se travel karna to sabko pasand hota hai , par ticket ke liye line lagana har kisi ke liye mushkil ho jata hai , aaj kal ke dino me kisi ke paas jyada time nahi hota hai ki vo station jakar line lagaye ,

Train se travel karna to sabko pasand hota hai , par ticket ke liye line lagana har kisi ke liye mushkil ho jata hai , aaj kal ke dino me kisi ke paas jyada time nahi hota hai ki vo station jakar line lagaye , Fir dimag me yahi sawal uthata hai ki har kam ho jata hai aaj kal par Online ticket kaise book kare ,isliye ham aaj train ticket online book karne ke bare me seekhenge. Agar aap ke paas IRCTC ka Acount nahi hai or apko banane nahi aata hai to aap hamara ye vala post jarur padhen . Online train ki ticket book karne ke liye aap sabse pehle IRCTC ki official website open karle login karne ke baad kuch is tarah ka page open hoga .

Fir dimag me yahi sawal uthata hai ki har kam ho jata hai aaj kal par Online ticket kaise book kare ,isliye ham aaj train ticket online book karne ke bare me seekhenge.

Agar aap ke paas IRCTC ka Acount nahi hai or apko banane nahi aata hai to aap hamara ye vala post jarur padhen .

Online train ki ticket book karne ke liye aap sabse pehle IRCTC ki official website open karle login karne ke baad kuch is tarah ka page open hoga .

Online ticket kese book kare

  1. From – Jaha se aapko jurney shuru karni hai vo fill kare jese screenshot me Delhi fill hai matlab yatra Delhi se shuru karna hai.
  2. From – Jaha aapko jana hai vo fill kare jese pic me Lucknow fill hai.
  3. Date – Aapko jis tarikh ko yatra karni hai us date ko enter kare .. Jesa ki screenshot me enter hai.
  4. Class – Agar aap claas ko modified karna chahte hai to yaha se direct modified kar sakte hai .
  5. Find train – Pura achhe se fill kar lene ke baad ek baar doobara dekh le ki hamne jo likha hai vo sab sahi hai. Agar sab sahi ho to find train par click karde , thodi der me aapko us route ki jitani bhi train hogi sab show ho jayegi ,

Station Selection

Online ticket kese book kare

Agar aap se station ya date select karne me kahi par galti ho jati hai to aap Modify Search par click karke doobara fill kar sake hai,

Train Selection

Online ticket kese book kare

Aapke dwara search kiye gaye jankari ke hisab se us route ki sari train show karne lagegi jese ki upar pic me Jn Swran Kranti 12004 show ho rahi hai, aap ko jis train me ticket book karni hai usi train ke option me check availability par click karna hai, click karne ke baad kuch is tarah ka page open hoga.

Ticket Selection

Online ticket kese book kare
  1. Agar aap ko is tarah ka page aata hai jisme GNWL , PQWL , RQWL show hota hai to isaka matlab hai ki ki train ki sabhi seats full hai Jesa ki upar pic me show ho rahi hai,
  2. Agar aapko RAC ( Reservation Against Cancellation ) likha aata hai to isaka matlab ye hi ki seat to full train me par aapko aapki journey date par ticket confirm ho jayegi .

Ab aap ko apane hisab se dekh kar jab jis claas se travel karna ho vo select karle or Book vale option par click karle , Book par click karne ke baad aapko ek naya page open hoga jisme aap apne bare me detail fill karde , jese ki name age e.t.c . Fill karne ke bad apko new page kuch is tarah se open hoga .

Ticket Review

Online ticket kese book kare

Sab kuch sahi se ek baar doobara dekh le ki jo bhi show ho raha hai vo sab theek hai jese ki Name Claas Age Date , sab kuch sahi se dekhne ke baad Continue par click karde agar kahi galti ho to Back vale option par click karke sahi karde or fir Continue Booking Par click kare Booking par click kare ke bad kuch is tarah ka page open hoga

Online ticket kese book kare

Aapko simply koi bhi ek option select kar lena hai jisme aap pay karne ke liye able ho isme kabhi kabhi payment gateway charge bhi le lete hai , make payment ke baad aapko apna debit ya credit card fill karna hai.

PicsArt 01 07 11.54.10 1024x482 7523708 4884744

Or fir pay par click karna hai apki ticket sucessfully book ho jayegi.

Agar aapko IRCTC se lekar ya ticket booking me koi problem hoti hai to aap comment section me hame jarur bataye .

Thanks for visiting LazyPk – Hindi Technology Blog

Leave a Comment